::: Amjad Islam Amjad :::
woh aakhri chand din decemeber ke
har baras hi giran guzarte hain
khawahishon ke nigaar khanaay se
kaisay kaisay guman guzarte hain
raftagan ke bikhare saayon ki
aik mehfhil si dil mein sajti hai
phone ki diary ke safhon se
kitney number pkarte hain mujhe
jin se marboot be nawa ghanti
ab faqat mere dil mein bajti hai
kis qader payarey payarey naamon par
rengti badnuma lakerain si
meri aankhon mein phail jati hain
dooria dairay banati hain
naam jo kat gay hain unn ke harf
aisay kaghaz pay phail jatay hain
haadsay ke maqam par jaisay
khoon ke sokhey nshanon par
chaak se laine lagatay hain
phir decemeber ke aakhri din hain
har baras ki terhan se ab ke bhi
diary aik sawal karti hai
kya khabar is baras ke aakhir taq
mere un be chairag safhon se
kitney hi naam kat gay hunge
kitney number bikhar ke rustoon mein
gard e maazi se att gay hunge
khaak ki dheiron ke daman mein
kitney tufaan simat gay hunge
har decemeber mein sochta hon mein
ik din is terhan bhi hona hai
rang ko roshni mein khona hai
apne apne gharon mein rakhi hui
diary dost dekhte hunge
unn ki aankhon ke khawab dinon mein
aik sehraa sa phialta hoga
aur kuch be nisha safhon se
naam mera bhi kat gaya hoga.

wah wah
ReplyDeletePost a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.