::: Saghar Siddique :::
![]() |
Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hain || Saghar Siddiqui || Urdu Poetry |
Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hain || Saghar Siddiqui || Urdu Poetry
"Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hain", this Poetry lyrics are narrated by "Usmaan Wahid", and Poetry lyrics are penned by "Saghar Siddiqui", and this video produced by Khawab Darichy. Khawab Darichy, provides the evergreen Urdu Poetry collection, where you can read and listen best Urdu Poetry, Ghazals and Nazm.
Yeh Jo Dewane Se Do Chaar Nazar Aate Hain
In Mein Kuch Sahab-e-asrar Nazar Aate Hain
***
Teri Mahfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Yeh Log To Bedar Nazar Aate Hain
***
Dur Tak Koi Sitara Hai Naa Koi Jugnu
Marg-e-ummid Ke Aasar Nazar Aate Hain
***
Mere Daman Mein Shararon Ke Siwa Kuch Bi Nahie
Aap Phulon Ke Kharidar Nazar Aate Hain
***
Kal Jinhen Chu Nahie Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Wo Raunaq-e-bazar Nazar Aate Hain
***
Hashr Mein Kwon Gawahi Meri Dega "saghar"
Sab Tumhaare Hi Taraf-dar Nazar Aate Hain
---- Saghar Siddiqui ----
یہ جو دیوانے سے دو چار نظر آتے ہیں
ان میں کچھ صاحب اسرار نظر آتے ہیں
***
تیری محفل کا بھرم رکھتے ہیں سو جاتے ہیں
ورنہ یہ لوگ تو بیدار نظر آتے ہیں
***
دور تک کوئی ستارہ ہے نہ کوئی جگنو
مرگ امید کے آثار نظر آتے ہیں
***
مرے دامن میں شراروں کے سوا کچھ بھی نہیں
آپ پھولوں کے خریدار نظر آتے ہیں
***
کل جنہیں چھو نہیں سکتی تھی فرشتوں کی نظر
آج وہ رونق بازار نظر آتے ہیں
***
حشر میں کون گواہی مری دے گا ساغرؔ
سب تمہارے ہی طرفدار نظر آتے ہیں
---- ساغرؔ صدیقی ----
<
Post a comment
Please do not enter any spam link in the comment box.