Apni Tasveer Ko Aankhon Se Lagata Kya Hai

::: Shahzad Ahmad :::

Apni Tasveer Ko Aankhon Se Lagata Kya Hai - Shahzad Ahmad

Apni Tasveer Ko Aankhon Se Lagata Kya Hai - Shahzad Ahmad

"Apni Tasveer Ko Aankhon Se Lagata Kiya Hai"(اپنی تصویر کو آنکھوں سے لگاتا کیا ہے) , this Poetry lyrics are narrated by "Usmaan Wahid", and this Poetry lyrics are penned by "Shahzad Ahmad"(شہزادؔ احمد), and this video produced by Khawab Darichy.

Khawab Darichy, provides the evergreen Urdu Poetry collection, where you can read and listen best Urdu Poetry, Ghazals and Nazm.

Apni Tasver Ko - Aankhon Se Lagata Kya Hai
Ek Nazar Meri Taraf Bhi - Tera Jata Kya Hai
***
Meri Ruswai Mein - Wo Bhi Hain Barabar Ke Sharik
Mere Qisse - Mere Yaron Ko Sunata Kya Hai
***
Pas Rah Kar Bhi - Na Pahchan Saka Tu Mujh Ko
Dur Se Dekh Ke - Ab Hath Hilata Kya Hai
***
Mar Gae Pyas Ke Mare - To Utha Abr-e-karam
Bujh Gai Bazm - To Ab Shama Jalata Kya Hai
***
Main Tera Kuchh Bhi Nahin Hun - Magar Itna To Bata
Dekh Kar Mujh Ko - Tere Zehn Mein Aata Kya Hai
***
Tujh Mein Kas-bal Hai - To Duniya Ko Baha Kar Le Ja
Chae Ki Pyali Mein Tufan Uthata Kya Hai
***
Teri Aawaz Ka Jadu Na Chalega Un Par
Jagne Walon Ko "Shahzad" Jagata Kya Hai

---- Shahzad Ahmad ----

More Shahzad Ahmad:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.

Previous Post Next Post