Mata e Be Baha Hai Dard o Soz e Arzumandi - Allama Muhammad Iqbal

::: Allama Muhammad Iqbal :::


Mata e Be Baha Hai Dard o Soz e Arzumandi - Allama Muhammad Iqbal 

"Mata e Be Baha Hai Dard o Soz e Arzumandi" (متاع بے بہا ہے درد و سوز آرزو مندی) , this Poetry lyrics are narrated by "Usmaan Wahid", and this Poetry lyrics are penned by "Allama Muhammad Iqbal"(علامہ محمد اقبال), and this video produced by Khawab Darichy.

 Mata-e-Bebaha Hai Dard-o-Soz-e-Arzumandi  
Maqam-e-Bandagi De Kar Na Lo Shan-e-Khudawandi   
***
Tere Aazad Bandon Ki Na Yeh Duniya Na Wo Duniya  
Yahan Marne Ki Pabandi Wahan Jine Ki Pabandi  
***
Hijab Iksir Hai Aawara-e-Ku-e-Mohabbat Ko  
Meri Aatish Ko Bhadkati Hai Teri Der-Paiwandi   
***
Guzar-Auqat Kar Leta Hai Ye Koho Bayaban Mein  
Ki Shahin Ke Liye Zillat Hai Kar-e-Ashiyan-Bandi   
***
Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi  
Sikhae Kis Ne Ismail Ko Aadab-e-Farzandi   
***
Ziyarat-Gah-e-Ahle-Azm-o-Himmat Hai Lahad Meri  
Ke Khak-e-Rah Ko Main Ne Bataya Raaz-e-Alwandi   
***
Meri Mashshatgi Ki Kya Zarurat Husn-e-Mani Ko  
Ki Fitrat Khud-ba-Khud Karti Hai Lale Ki Hina-bandi   


Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.

Previous Post Next Post