::: Ahmad Faraz :::
![]() |
Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana - Ahmad Faraz |
Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana - Ahmad Faraz
"Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana"(اب کے تجدید وفا کا نہیں امکاں جاناں) , this Poetry lyrics are narrated by "Muhammad Faisal", and this Poetry lyrics are penned by "Ahmad Faraz"(احمد فراز), and this video produced by Khawab Darichy.
Ab Ke Tajdid-e-wafa Ka Nahin Imkan Jaanan
Yaad Kya Tujh Ko Dilaen Tera Paiman Jaanan
***
Yunhi Mausam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aaya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jate Hain Insan Jaanan
***
Zindagi Teri Ata Thi So Tere Nam Ki Hai
Hum Ne Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsan Jaanan
***
Dil Ye Kahta Hai Ki Shayad Hai Fasurda Tu Bhi
Dil Ki Kya Baat Karen Dil To Hai Nadan Jaanan
***
Awwal Awwal Ki Mohabbat Ke Nashe Yaad To Kar
Be-piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistan Jaanan
***
Aakhir Aakhir To Ye Aalam Hai Ki Ab Hosh Nahin
Rag-e-mina Sulag Utthi Ki Rag-e-jaan Jaanan
***
Muddaton Se Yahi Aalam Na Tawaqqo Na Umid
Dil Pukare Hi Chala Jata Hai Jaanan Jaanan
***
Ab Ke Kuchh Aisi Saji Mahfil-e-yaran Jaanan
Sar-ba-zanu Hai Koi Sar-ba-gareban Jaanan
***
Har Koi Apni Hi Aawaz Se Kanp Uthta Hai
Har Koi Apne Hi Sae Se Hirasan Jaanan
***
Jis Ko Dekho Wahi Zanjir-ba-pa Lagta Hai
Shahr Ka Shahr Hua Dakhil-e-zindan Jaanan
***
Hum Bhi Kya Sada The Hum Ne Bhi Samajh Rakkha Tha
Gham-e-dauran Se Juda Hai Gham-e-jaanan Jaanan
***
Hum Ki Ruthi Hui Rut Ko Bhi Mana Lete The
Hum Ne Dekha Hi Na Tha Mausam-e-hijran Jaanan
***
Hosh Aaya To Sabhi Khwab The Reza Reza
Jaise Udte Hue Auraq-e-pareshan Jaanan
---- Ahmad Faraz ----
Post a comment
Please do not enter any spam link in the comment box.