::: Qateel Shifai :::
![]() |
Haalat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahie Girta - Qateel ShifaiHaalat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahie Girta - Qateel Shifai"Haalat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahie Girta"(حالات کے قدموں پہ قلندر نہیں گرتق) , this Poetry lyrics are narrated by "Usmaan Wahid", and this Poetry lyrics are penned by "Qateel Shifai"(قتیل شفائی), and this video produced by Khawab Darichy. |
حالات کے قدموں پہ قلندر نہیں گرتا
ٹوٹے بھی جو تارا تو زمیں پر نہیں گرتا
گرتے ہیں سمندر میں بڑے شوق سے دریا
لیکن کسی دریا میں سمندر نہیں گرتا
سمجھو وہاں پھل دار شجر کوئی نہیں ہے
وہ صحن کہ جس میں کوئی پتھر نہیں گرتا
اتنا تو ہوا فائدہ بارش کی کمی کا
اس شہر میں اب کوئی پھسل کر نہیں گرتا
انعام کے لالچ میں لکھے مدح کسی کی
اتنا تو کبھی کوئی سخن ور نہیں گرتا
حیراں ہے کئی روز سے ٹھہرا ہوا پانی
تالاب میں اب کیوں کوئی کنکر نہیں گرتا
اس بندۂ خوددار پہ نبیوں کا ہے سایہ
جو بھوک میں بھی لقمۂ تر پر نہیں گرتا
کرنا ہے جو سر معرکۂ زیست تو سن لے
بے بازوئے حیدر در خیبر نہیں گرتا
قائم ہے قتیلؔ اب یہ مرے سر کے ستوں پر
بھونچال بھی آئے تو مرا گھر نہیں گرتا
Haalat Ke Qadmon Pe Qalandar Nahin Girta
Tute Bhi Jo Tara To Zamin Par Nahin Girta
***
Girte Hain Samundar Mein Bade Shauq Se Dariya
Lekin Kisi Dariya Mein Samundar Nahin Girta
***
Samjho Wahan Phaldar Shajar Koi Nahin Hai
Wo Sahn Ki Jis Mein Koi Patthar Nahin Girta
***
Itna To Hua Faeda Barish Ki Kami Ka
Is Shahr Mein Ab Koi Phisal Kar Nahin Girta
***
Inam Ke Lalach Mein Likhe Madh Kisi Ki
Itna To Kabhi Koi Sukhan-war Nahin Girta
***
Hairan Hai Kai Roz Se Thahra Hua Pani
Talab Mein Ab Kyun Koi Kankar Nahin Girta
***
Us Banda-e-khuddar Pe Nabiyon Ka Hai Saya
Jo Bhuk Mein Bhi Luqma-e-tar Par Nahin Girta
***
Karna Hai Jo Sar Marka-e-zist To Sun Le
Be-bazu-e-haidar Dar-e-khaibar Nahin Girta
***
Qaem Hai 'Qatil' Ab Ye Mere Sar Ke Sutun Par
Bhaunchaal Bhi Aae To Mera Ghar Nahin Girta
---- Qateel Shifai ---
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.