::: Rahman Khawar :::

wo lamha mere liye kis qadar azab ka tha
haqiqaton pe guman jab khayal-o-khwab ka tha
tamam-umr hum apni ana mein mast rahe
wo nashsha sab se alag tha jo is sharab mein tha
kahan gae mere mausam wo aarzuon ke
kahan gaya jo zamana mere shabab ka tha
mita diye the sabhi harf gham ki barish ne
ajib haal meri zist ki kitab ka tha
jala na tha mere ghar mein koi diya jab tak
kahan ye rang hawaon ke pech-o-tab ka tha
hue buland kuchh itne ki hosh hi na raha
wo tha zamin ka manzar ki mahtab ka tha
udi hai aaj bahut khak us jagah "khawar"
hara-bhara koi pauda jahan gulab ka tha

Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.