::: Peer Naseer Ud Din Naseer :::
![]() |
Dein Se Dur Na Mazhab Se Alag Baitha Hun - Peer Naseer Ud Din Naseer |
Dein Se Dur, Na Mazhab Se Alag Baitha Hun | Peer Naseer Ud Din Naseer | Sufi Kalam
"Dein Se Dur Na Mazhab Se Alag"(دین سے دور نہ مذہب سے الگ) , this Poetry lyrics are narrated by "Usmaan Wahid", and this Poetry lyrics are penned by "Peer Naseer ud Din Naseer"(پیر نصیر الدین نصیر), and this video produced by Khawab Darichy.
Din Se Dur, Na Mazhab Se Alag Baitha Hun
Teri Dahliz Pe Hun, Sab Se Alag Baitha Hun
***
Dhang Ki Baat Kahe Koi, To Bolun Main Bhi
Matlabi Hun, Kisi Matlab Se Alag Baitha Hun
***
Bazm-e-ahbab Mein Hasil Na Hua Chain Mujhe
Mutmain Dil Hai Bahut, Jab Se Alag Baitha Hun
***
Ghair Se Dur, Magar Us Ki Nigahon Ke Qarin
Mahfil-e-yar Mein Is Dhab Se Alag Baitha Hun
***
Yahi Maslak Hai Mera, Aur Yahi Mera Maqam
Aaj Tak Khwahish-e-mansab Se Alag Baitha Hun
***
Umr Karta Hun Basar Gosha-e-tanhai Mein
Jab Se Wo Ruth Gae, Tab Se Alag Baitha Hun
***
Mera Andaz "naseer" Ahl-e-jahan Se Hai Juda
Sab Mein Shamil Hun, Magar Sab Se Alag Baitha Hun

Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.