::: Khatir Ghaznavi :::
![]() |
Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gaye - Khatir Ghaznavi |
Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gaye - Khatir Ghaznavi
"Go Zara Si Baat Par Barson Ke Yarane Gaye"(گو ذرا سی بات پر برسوں کے یارانے گئے), this Poetry lyrics are narrated by "Usmaan Wahid", and this Poetry lyrics are penned by "Khatir Ghaznavi"(خاطر غزنوی), and this video produced by Khawab Darichy.
Go Zara Si Baat Par - Barson Ke Yarane Gae
Lekin Itna To Hua - Kuch Log Pahchane Gae
***
Garmi-e-Mahfil - Faqat Ek Nara-e-Mastana Hai
Aur Wo Khush Hain - Ke Is Mahfil Se Dewane Gae
***
Main Ise Shohrat Kahun - Ya Apni Ruswai Kahun
Mujh Se Pahle - Us Gali Mein Mere Afsane Gae
***
Wahshaten Kuch Is Tarah - Apna Muqaddar Ban Gain
Hum Jahan Pahunche - Hamare Sath Virane Gae
***
Yun To Wo Meri Rag-e-Jaan Se Bhi The Nazdik-Tar
Aansuon Ki Dhund Mein - Lekin Na Pahchane Gae
***
Ab Bhi Un Yaadon Ki Khushbu - Zehn Mein Mahfuz Hai
Bar-Ha Hum Jin Se - Gulzaron Ko Mahkane Gae
***
Kya Qayamat Hai - Ki "Khatir" Kushta-e-Shab The Bhi Hum
Subh Bhi Aai - To Mujrim Hum Hi Gardane Gae

Post a Comment
Please do not enter any spam link in the comment box.