Main Darakhton Ko Sunata Hun Kahani Dil Ki - Nadeem Malik - Sad Urdu Poetry

::: Nadeem Malik :::

Main Darakhton Ko Sunata Hun Kahani Dil Ki - Nadeem Malik - Sad Urdu Poetry

Main Darakhton Ko Sunata Hun Kahani Dil Ki Poetry lyrics are narrated by Muhammad Faisal, and lyrics are penned by Nadeem Malik. This video is production of Khawab Darichy.
main darakhton ko sunata hun kahani dil ki
aur phir woh bhi marey dost zabani dil ki
***
khailtay khailtay duniya se guzar jayen gae
apne bachpan ki taraf le ke nishani dil ki
***
jab bhi aati hai teri yaad kule aangan mein
baith jata hun liye shokh jawani dil ki
***
mujh ko saahil pay khara dekh ke irshad kia
paas aa tujh ko sunata hun kahani dil ki
***
dasht mein phool ugane ki tamanna le kar
kyun marey sath hui naqal-makani dil ki
***
woh bhi urrtay hain marey naqshِ-e-kaf-e-pa ki terhan
bhool jati hai jinhein baat batani dil ki
***
kash! uss baste se niklay mere marnay ka saboot
kash is fikar mein kat jaye ravani dil ki

---- Nadeem Malik ----


میں درختوں کو سناتا ہوں کہانی دل کی 

اور پھر وہ بھی مرے دوست زبانی دل کی 

*** 

کھیلتے کھیلتے دُنیا سے گُزر جائیں گے 

اپنے بچپن کی طرف لے کے نشانی دل کی 

*** 

جب بھی آتی ہے تری یاد کُھلے آنگن میں 

بیٹھ جاتا ہوں لیے شوخ جوانی دل کی 

*** 

مجھ کو ساحل پہ کھڑا دیکھ کے ارشاد کیا 

پاس آ تجھ کو سناتا ہوں کہانی دل کی 

*** 

دشت میں پھول اُگانے کی تمنّا لے کر 

کیوں مرے ساتھ ہوئی نقل مکانی دل کی 

*** 

وہ بھی اڑتے ہیں مرے نقشِ کفِ پا کی طرح  

بھول جاتی ہے جنہیں بات بتانی دل کی  

*** 

کاش! اُس بستے سے نکلے میرے مرنے کا ثبوت 

کاش اس فکر میں کٹ جائے روانی دل کی 

---- ندیم ملک ---- 

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.

Previous Post Next Post