Yeh Gham Nahie Ke Who Mujh Se Wafa Nahie Karta || Rehman Faris Poetry

::: Rehman Faris :::

Yeh Gham Nahie Ke Who Mujh Se Wafa Nahie Karta || Rehman Faris Poetry
Yeh Gham Nahie Ke Who Mujh Se Wafa Nahie Karta || Rehman Faris Poetry
Yeh Gham Nahie Ke Who Mujh Se Wafa Nahie Karta || Rehman Faris ||  Urdu Poetry

Yeh Gham Nahie Ke Who Mujh Se Wafa Nahie Karta Poetry lyrics are narrated by Usmaan Wahid, and this Sad Urdu Poetry lyrics are penned by one of the best poet in modern age is Rehman Faris. This video is production of Khawab Darichy.

Yeh Gham Nahi Ke Woh Mujh Se Wafa Nahi Karta
Sitam To Yeh Hai Ke Kehta Hai, Ja Nahi Karta
***
Tulu Aariz O Lab Tak Mein Sabr Karta Hoon
So Mun Andhere Ghazal Ibtida Nahi Karta
***
Yeh Shehar Aisay Hariso Ka Shehar Hai Ke Yahan
Faqeer Bheek Liye Bin Dua Nahi Karta
***
Zuba Ka Talkh Hai Lekin Woh Dil Ka Acha Hai
So Us Ki Baat Pay Mein Dil Bura Nahi Karta
***
Bas Aik Misra Tar Ki Talaash He Mujh Ko
Mein Sae Chashma Aab-e-baka Nahi Karta
***
Shaheed-e-ishq Ki Sarshariya Mulahiza Hon
Gala Kata Ke Bhi Khush Hai, Gilah Nahi Karta
***
Dil Aisa Phool Hai "Faris" Ke Jo Mehekne Ko
Kabhi Bhi Minnat-e-baad-e-saba Nahi Karta

---- Rehman Faris ----


یہ غم نہیں کہ وہ مجھ سے وفا نہیں کرتا 

ستم تو یہ ہے کہ کہتا ہے جا ، نہیں کرتا 

*** 

طلوعِ عارض و لب تک مَیں صبر کرتا ہوں 

سو منہ اندھیرے غزل اِبتدا نہیں کرتا 

*** 

یہ شہر ایسے حریصوں کا شہر ہے کہ یہاں 

فقیر بھیک لیے بِن دُعا نہیں کرتا 

*** 

زباں کا تلخ ہے لیکن وہ دل کا اچھا ہے 

سو اُس کی بات پہ مَیں دِل بُرا نہیں کرتا 

*** 

بس ایک مصرعہ تر کی تلاش ہے مجھ کو 

میں سعی چشمہ آبِ بقا نہیں کرتا 

*** 

شہیدِ عشق کی سرشاریاں مُلاحظہ ہوں 

گلا کٹا کے بھی خُوش ہے ، گِلہ نہیں کرتا 

*** 

دل ایسا پُھول ہے فارسؔ کہ جو مہکنے کو 

کبھی بھی منتِ بادِ صبا نہیں کرتا 


---- ؔرحمان فارس ---- 


Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.

Previous Post Next Post