::: Iftikhar Arif :::
![]() |
Shahr-e-Gul Ke Khas-o-Khashak Se Khauf Aata Hai - iftikhar Arif Poetry |
Shahr-e-Gul Ke Khas-o-Khashak Se Khauf Aata Hai - iftikhar Arif Poetry Lyrics
Shahr-e-Gul Ke Khas-o-Khashak Se Khauf Aata Hai(شہر گل کے خس و خاشاک سے خوف آتا ہے), this Poetry lyrics are narrated by "Muhammad Faisal", and this Poetry lyrics are penned by Iftikhar Arif(افتخار عارف),this video produced by Khawab Darichy. Khawab Darichy, provides the evergreen Urdu Poetry collection, where you can read and listen best Urdu Poetry, Ghazals and Nazm.
Shahr-e-Gul Ke Khas-o-Khashak Se Khauf Aata Hai
Jiss Ka Waris Hun Usi Khak Se Khauf Aata Hai
***
Shakl Banne Nahie Pati Ke Bigar Jati Hai
Nai Mitti Ko Naye Chaak Se Khauf Aata Hai
***
Waqt Ne Aise Ghumaye Ufuq Aafaq Ke Bas
Mehwar-e-Gardish-e-Saffak Se Khauf Aata Hai
***
Yahi Lehja Tha Ke Meyar-e-Sukhan Thahra Tha
Ab Isi Lehja-e-Bebaak Se Khauf Aata Hai
***
Aag Jab Aag Se Milti Hai To Lau Deti Hai
Khak Ko Khak Ki Poshak Se Khauf Aata Hai
***
Kabhi Aflak Se Nalon Ke Jawab Aate They
In Dinon Aalam-e-Aflak Se Khauf Aata Hai
***
Rahmat-e-Sayyad-e-Laulak Pe Kamil Imaan
Ummat-e-Sayyad-e-Laulak Se Khauf Aata Hai
---- Iftikhar Arif ----
Post a comment
Please do not enter any spam link in the comment box.