Farz Karo || Ibn e Insha || Urdu Nazm

Ibn e Insha

Farz Karo - Ibn-e-Insha
Farz Karo - Ibne Insha Nazm

Farz Karo(فرض کرو), this Poetry lyrics are narrated by Muhammad Faisal , and this Nazm lyrics are penned by one of the best poet Ibn e Insha(ابن انشا), and this video produced by Khawab Darichy. Khawab Darichy, provides the evergreen Urdu Poetry collection, where you can read and listen best Urdu Poetry, Ghazals and Nazm.

Farz Karo Hum Ahl-e-Wafa Hon, Farz Karo Dewane Hon 
Farz Karo Ye Donon Baaten, Jhuti Hon Afsane Hon

 ***
 Farz Karo Ye Ji Ki Bipta, Ji Se Jor Sunai Ho 
Farz Karo Abhi Aur Ho Itni, Aadhi Hum Ne Chupai Ho 

***
Farz Karo Tumhein Khush Karne Ke, Dhundhe Hum Ne Bahane Hon 
Farz Karo Yeh Nain Tumhaare, Sach-much Ke Mai-khane Hon 

***
Farz Karo Ye Rog Ho Jhuta, Jhuti Peet Hamari Ho 
Farz Karo Is Peet Ke Rog Mein, Sans Bhi Hum Par Bhaari Ho

 ***
Farz Karo Ye Jog Ba-jog Ka, Hum Ne Dhong Rachaya Ho 
Farz Karo Bas Yahi Haqiqat, Baqi Sab Kuch Maya Ho 

***
Dekh Meri Jaan Kah Gae Bahu, Kaun Dilon Ki Jaane 'hu' 
Basti Basti Sahra Sahra, Lakhon Karen Dawane 'hu'

 ***
Jogi Bhi Jo Nagar Nagar Mein, Mare Mare Phirte Hain 
Kasa Liye Bhabut Ramae, Sab Ke Dware Phirte Hain 

***
Shair Bhi Jo Mithi Bani Bol Ke, Man Ko Harte Hain 
Banjare Jo Unche Damon, Ji Ke Saude Karte Hain 

***
In Mein Sachche Moti Bhi Hain, In Mein Kankar Patthar Bhi 
In Mein Uthle Pani Bhi Hain, In Mein Gahre Sagar Bhi 

***
Gori Dekh Ke Aage Badhna, Sab Ka Jhuta Sachcha 'hu' 
Dubne Wali Dub Gai Wo, Ghara Tha Jis Ka Kachcha 'hu' 

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.

Previous Post Next Post