Hath Khali Hai Tere Shehar Se Jaate Jaate

  ::: Rahat Indori :::

Hath Khali Hain Tere Shahr Se Jate Jate - Rahat Indori

Hath Khali Hain Tere Shahr Se Jate Jate(ہاتھ خالی ہیں ترے شہر سے جاتے جاتے), this Poetry lyrics are narrated by Usmaan Wahid, and lyrics are penned by "Rahat Indori" (راحتؔ اندوری), and this video produced by Khawab Darichy.




Hath Khali Hain Tere Shahr Se Jate Jate 

Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jate 


Ab To Har Hath Ka Patthar Hamein Pahchanta Hai 

Umr Guzri Hai Tere Shahr Mein Aate Jate 


Ab Ke Mayus Hua Yaron Ko Rukhsat Kar Ke 

Ja Rahe The To Koi Zakhm Lagate Jate 


Rengne Ki Bhi Ijazat Nahin Hum Ko Warna 

Hum Jidhar Jate Nae Phul Khilate Jate 


Main To Jalte Hue Sahraon Ka Ek Patthar Tha 

Tum To Dariya The Meri Pyas Bujhate Jate 


Mujh Ko Rone Ka Saliqa Bhi Nahin Hai Shayad 

Log Hanste Hain Mujhe Dekh Ke Aate Jate 


Hum Se Pahle Bhi Musafir Kai Guzre Honge 

Kam Se Kam Rah Ke Patthar To Hatate Jate 

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the comment box.

Previous Post Next Post